Har qadam duri-e-manzil hai numayan mujh se
Meri raftar se bhage hai bayaban mujh se
Dars-e-unvan-e-tamasha ba-taghaful khush-tar
Hai nigah rishta-e-shiraza-e-mizhgan mujh se
Vahshat-e-atish-e-dil se shab-e-tanhai mei
Surat-e-dud raha saaya gurezan mujh se
Gham-e-ushshaq na ho sadgi-amoz-e-butan
Kis qadar khana-e-aaina hai viran mujh se
Asar-e-abla se jada-e-sahra-e-junun
Surat-e-rishta-e-gauhar hai charaghan mujh se
Be-khudi bistar-e-tamhid-e-faraghat ho jo
Pur hai saae ki tarah mera shabistan mujh se
Bekasi-ha-e-shab-e-hijr ki vahshat hai hai
Saaya khurshid-e-qayamat mei hai pinhan mujh se
Gardish-e-saghar-e-sad-jalva-e-rangin tujh se
Aaina-dari-e-yak-dida-e-hairan mujh se
Nigah-e-garm se ek aag tapakti hai 'Asad'
Hai charaghan khas-o-khashak-e-gulistan mujh se
Bastan-e-ahd-e-mohabbat hama na-dani tha
Chashm-e-nakushuda raha uqda-e-paiman mujh se
Atish-afrozi-e-yak-shola-e-ima tujh se
Chashmak-arai-e-sad-shahr charaghan mujh se


No comments
Post a Comment