Gila hai shauq ko dil mei bhi tangi-e-ja ka
Guhar mei mahv huwa iztirab dariya ka
Ye janta hun ki tu aur pasukh-e-maktub
Magar sitam-zada hun zauq-e-khama-farsa ka
Hina-e-pa-e-khizan hai bahar agar hai yahi
Davam-e-kulfat-e-khatir hai aish duniya ka
Gham-e-firaq mei taklif-e-saer-e-bagh na do
Mujhe dimagh nahin khanda-ha-e-beja ka
Hanuz mahrami-e-husn ko tarasta hun
Kare hai har-bun-e-mu kaam chashm-e-bina ka
Dil us ko pahle hi naz-o-ada se de baethe
Hamen dimagh kahan husn ke taqaza ka
Na kah ki girya ba-miqdar-e-hasrat-e-dil hai
Meri nigah mei hai jam-o-kharch dariya ka
Falak ko dekh ke karta hun us ko yaad 'Asad'
Jafa mei us ki hai andaz kar-farma ka
Mera shumul har ek dil ke pech-e-tab mei hai
Maen mudda hun tapish-nama-e-tamanna ka


No comments
Post a Comment