Aaj-kal be-qaraar hain ham bhi
Baeth ja chalne haar hain ham bhi
Aan mei kuch hain aan mei kuch hain
Tohfa-e-rozgaar hain ham bhi
Mana girya na kar to ai naseh
Is mei be-ikhtiyaar hain ham bhi
Darpai jaan hai qaraval marg
Kaso ke to shikar hain ham bhi
Naale kariyo samajh ke ae bulbul
Baagh mei yak kanar hain ham bhi
Muddai ko sharab ham ko zahar
Aqibat dost-dar hain ham bhi
Muztarib girya naak hai ye gul
Barq abr-e-bahar hain ham bhi
Gar za-khud rafta hain tere nazdik
Apne to yadgaar hain ham bhi
'Meer' naam ek javan suna hoga
Oosi, aashiq ke yaad hain ham bhi


No comments
Post a Comment