Ham par jafa se tark-e-vafa ka guman nahin
Ik chhed hai vagarna murad imtihan nahin
Kis muh se shukr kijiye is lutf-e-khas ka
Purish hai aur pa-e-sukhan darmiyan nahin
Ham ko sitma azeez sitamgar ko ham azeez
Na-mehrbaan nahin hai agar mehrbaan nahin
Bosa nahin na dijiye dushnaam hi sahi
Akhir zaban to rakhte ho tum gar dahan nahin
Har-chand jaan-gudazi-e-qahr-o-itaab hai
Har-chand pusht-e-garmi-e-tab-o-tavaan nahin
Jaan mutrib-e-tarana-e-hal-mim-mazid hai
Lab parda-sanj-e-zamzama-e-al-aman nahin
Khanjar se cheer seena agar dil na ho do-neem
Dil mei chhuri chubho mizha gar khoon-chakan nahin
Hai nang-e-seena dil agar atish-kada na ho
Hai ar-e-dil nafas agar azar-fishan nahin
Nuqsan nahin junun mei bala se ho ghar kharab
Sau gaz zameen ke badle bayaban giran nahin
Kahte ho kya likha hai teri sarnavisht mei
Goya jabin pe sajda-e-but ka nishan nahin
Paata hun us se daad kuchh apne kalam ki
Ruhul-qudus agarche mera ham-zaban nahin
Jaan hai baha-e-bosa vale kyun kahe abhi
'Ghalib' ko janta hai ki wo nim-jan nahin
Jis ja ki pa-e-sail-e-bala darmiyan nahin
Divanagan ko vaan havas-e-khanman nahin
Gul ghunchagi mei gharqa-e-dariya-e-rang hai
Aai agahi fareb-e-tamasha kahan nahin
Kis jurm se hai chashm tujhe hasrat qubut
Barg-e-heena magar mizha-e-khoon-fishan nahin
Har rang-e-gardish aaina ijaad-e-dard hai
Ashq-e-sahab juz ba-veeda-e-khizan nahin
Juz ijz kya karun ba-tamanna-e-be-khudi
Taqat harif-e-sakhti-e-khwaab-e-giran nahin
Ibaarat se puchh dard-e-pareshani-e-nigah
Ye gard-e-vahm juz basar-e-imtihan nahin
Barq-e-ba-jan-e-hausla atish-fagan 'Asad'
Aai dil-fasurda taqat-e-zabt-e-fughan nahin


No comments
Post a Comment