Ham rashk ko apne bhi gavara nahin karte
Marte hain vale un ki tamanna nahin karte
Dar-parda unhen ghair se hai rabt-e-nihani
Zahir ka ye parda hai ki parda nahin karte
Ye bais-e-na-ummeedi-e-arbaab-e-havas hai
'Ghalib' ko bura kahte hain achcha nahin karte
3.
Ham se khul jaao ba-waqt-e-mai-parasti ek din
Varna ham chhedenge rakh kar uzr-e-masti ek din
Gharra-e-auj-e-bina-e-alam-e-imkan na ho
Is bulandi ke nasibon mei hai pasti ek din
Qarz ki peete the mai lekin samajhte the ki haan
Rang lavegi hamari faqa-masti ek din
Naghma-ha-e-gham ko bhi aai dil ghanimat janiye
Be-sada ho jaega ye saz-e-hasti ek din
Dhaul-dhappa us sarapa-naz ka sheva nahin
Ham hi kar baithe the 'Ghalib' pesh-dasti ek din


No comments
Post a Comment