Aah-e-sahar ne sozish-e-dil ko mita diya
Oos baav ne hamen to diya sa bujha diya
Samjhi na baad subh ki aa kar utha diya
Is fitna-e-zamana ko nahaq jaga diya
Poshida raz-e-ishq chala jaae tha sau aaj
Be-taqati ne dil ki wo parda utha diya
Oos mauj-khez dahr mei ham ko qaza ne aah
Paani ke bulbule ki tarah se mita diya
Thi laag us ki tegh ko ham se sau ishq ne
Dono ko maarke mei gale se mila diya
Sab shor-e-ma-o-man ko liye sar mei mar gaye
Yaaron ko is fasane ne aakhir sula diya
Avargan-e-ishq ka puchha jo mei nishaan
Musht-e-ghubar le ke saba ne uda diya
Ajza badan ke jitne the paani ho bah gaye
Aakhir gudaz ishq ne ham ko baha diya
Kya kuch na tha azal mei na taala jo the durust
Ham ko dil-shikasta qaza ne dila diya
Goya muhasba mujhe dena tha ishq ka
Oos taur dil si chiz ko mae ne laga diya
Muddat rahegi yaad tere chehre ki jhalak
Jalve ko jisne maah ke ji se bhula diya
Ham ne to sadgi se kya ji ka bhi ziyan
dil jo diya tha so to diya sar juda diya
boi kabaab sokhta aai dimaagh mei
Shayad jigar bhi aatish-e-gham ne jila diya
Taqlif dard-e-dil ki abas ham-nashin ne ki
Dard-e-sukhan ne mere sabhon ko rula diya
Un ne to tegh khinchi thi par ji chala ke 'Meer'
Ham ne bhi ek dam mei tamasha dikha diya


No comments
Post a Comment