Friday, 21 September 2018

HAM NE KYUN KHUD PE AITBAAR KIYA

Aap apna ghubar the ham to
Yaad the yaadgaar the ham to

Pardagi ham se kyun rakha parda
Tere hi parda-dar the ham to

Waqt ki dhup mei tumhare liye
Shajar-e-saya-dar the ham to

Oode jaate hain dhul ke maanind
Aadhiyon pe sawaar the ham to


Ham ne kyun khud pe aitbaar kiya
Sakht be-eitbaar the ham to

Sharm hai apni baar baari ki
Be-sabab baar baar the ham to

Kyun hamen kar diya gaya majbur
Khud hi be-ikhtiyaar the ham to

Tum ne kaese bhula diya ham ko
Tum se hi mustaar the ham to

Khush na aaya hame jiye jaana
Lamhe lamhe pe baar the ham to

Sah bhi lete hamare taanon ko
Jaan-e-mann jaan-nisaar the ham to

Khud ko dauran-e-haal mei apne
Be-tarah nagavar the ham to

Tum ne ham ko bhi kar diya barbaad
Naadir-e-rozgaar the ham to

Ham to yaron ne yaad bhi na rakha
'Jaun' yaaron ke yaar the ham to
Shayars 4 World. All rights reserved. © Maira Gall.