Aah meri zabaan par aai
Ye bala aasmaan par aai
Aalam-e-jaan se to nahin aaya
Ek aafat jahan par aai
Peeri aafat hai phir na tha goya
Ye bala jis javan par aai
Ham bhi hazir hain khinchiye shamshir
taba gar imtihan par aai
Tab thikane lagi hamari khaak
Jab tere aastaan par aai
Aatish-e-rang-e-gul se kya kahiye
Barq thi aashiyan par aai
Taqat-e-dil ba-rang-e-nikhat-e-gul
Phir apne makan par aai
Ho jahan 'Meer' aur gham is ka
Jis se aalam ki jaan par aai

