Ab kisi se mera hisaab nahin
Meri aankhon mei koi khwaab nahin
Khoon ke ghunt pi raha hun mae
Ye mera khoon hai sharaab nahin
Mae sharabi hun meri aas na chhiin
tu meri aas hai saraab nahi
Noch phenke labon se maen ne sawaal
Taqat-e-shokhi-e-jawaab nahi
Ab to Punjab bhi nahi Punjab
Aur khud jaesa ab do-ab nahin
Gham abad ka nahin hai aan ka hai
Aur is ka koi hisaab nahin
Budash ek ru hai ek ru yaani
Is ki fitrat mei inqalaab nahin

