Hai kis qadar halak-e-fareb-e-vafa-e-gul
Bulbul ke karobar pe hain khanda-ha-e-gul
Azadi-e-nasim mubarak ki har taraf
Toote pade hain halqa-e-dam-e-hava-e-gul
Jo tha so mauj-e-rang ke dhoke mei mar gaya
Ae vaae nala-e-lab-e-khoon-nava-e-gul
Khush-hal us harif-e-siyah-mast ka ki jo
Rakhta ho misl-e-saya-e-gul sar-ba-pa-e-gul
Ijad karti hai oose tere liye bahar
Mera raqib hai nafas-e-itr-sa-e-gul
Sharminda rakhte hain mujhe bad-e-bahar se
Mina-e-be-sharab o dil-e-be-hava-e-gul
Satvat se tere jalva-e-husn-e-ghuyur ki
Khoon hai meri nigah mei rang-e-ada-e-gul
Tere hi jalve ka hai ye dhoka ki aaj tak
Be-ikhtiyar daude hai gul dar-qafa-e-gul
'Ghalib' mujhe hai us se ham-aghoshi aarzu
Jis ka khayal hai gul-e-jeb-e-qaba-e-gul
Divanagan ka chara farogh-e-bahar hai
Hai shakh-e-gul mei panja-e-khuban bajae gul
Mizhgan talak rasai-e-lakht-e-jigar kahan
Ai vaae gar nigah na ho ashna-e-gul

