Hai sabza-zar har dar-o-deewar-e-gham-kada
Jis ki bahar ye ho phir us ki khizan na puchh
Na-char bekasi ki bhi hasrat uthaiye
Dushvari-e-rah o sitam-e-ham-rahan na puchh
Juz dil suragh-e-dard ba-dil-khuftagan na puchh
Aaina arz kar khat-e-khal-e-bayan na puchh
Hindotan saya-e-gul pa-e-takht tha
Jah-o-jalal-e-ahd-visal-e-butan na puchh
Ghaflat-mata-e-kaffa-e-mizan-e-adl hun
Ya rab hisab-e-sakhti-e-khwaab-e-giran na puchh
Har dagh-e-taza yak-dil-dagh-intizaar hai
Arz-e-faza-e-seena-e-dard-imtihaan na puchh
Kahta tha kal wo mahram-e-raz apne se ki aah
Dard-e-judaai-e-'Asad'-ullah-khaan na puchh
Parvaz-e-yak-tap-e-gham-e-taskhir-e-nala hai
Garmi-e-nabz-e-nabz-e-khar-e-khas-e-ashiyan na puchh
Tu mashq-e-baz kar dil-e-parvana hai bahar
Betabi-e-tajalli-e-atish-ba-jaan na puchh

