Hai bazm-e-butan mei sukhan azurda-labon se
Tang aae hain ham aise khushamad-talabon se
Hai daur-e-qadah vajh-e-pareshani-e-sahba
Yak-bar laga do khoon-e-mai mere labon se
Rindan-e-dar-e-mae-kada gustakh hain zahid
Zinhar na hona taraf in be-adabon se
Bedad-e-vafa dekh, ki jaati rahi aakhir
Har-chand meri jaan ko tha rabt labon se
Kya puche hai bar-khud ghalati-hae-azizan
Khvari ko bhi ek aar hai aali-nasabon se
Go tum ko raza-jui-e-aghyar hai lekin
Jaati hai mulaqat kab aese sababon se
Mat puchh 'Asad' vaade-e-kam-fursati-e-zist
Do din bhi jo kaate tu qayamat taabon se

