Hai bas-ki har ek un ke ishare mei nishaan aur
Karte hain mohabbat to guzarta hai guman aur
Ya-rab wo na samjhe hain na samjhenge meri baat
De aur dil un ko jo na de muh ko zaban aur
Abru se hai kya us nigah-e-naz ko paivand
Hai teri muqarrar magar is ki hai kaman aur
Tum shahr mei ho to hamen kya gham jab uthenge
Le aaenge bazar se ja kar dil-o-jaan aur
Har chand subuk-dast huwe but-shikani mei
Ham hain to abhi raah mei hain sang-e-giran aur
Hai khoon-e-jigar josh mei dil khol ke rota
Hote jo kaii dida-e-khoon-naba-fishan aur
Marta hun is awaaz pe har chand sar ud jaae
Jallad ko lekin wo kahe jaaen ki haan aur
Logon ko hai khurshid-e-jahan-tab ka dhoka
Har roz dikhata hun maen ek dagh-e-nihan aur
Leta na agar dil tumhe deta koi dam chaen
Karta jo na marta koi din ah-o-fughan aur
Paate nahin jab raah to chadh jaate hain naale
Rukti hai meri taba to hoti hai ravan aur
Hain aur bhi dunya mei sukhan-var bohot achchhe
kahte hain ki 'Ghalib' ka hai andaz-e-bayan aur

