Hai armindagi mei nikohish baja mujhe
Subh-e-vatan hai khanda-e-dandan-numa mujhe
Dhunde hai us mughanni-e-atish-nafas ko ji
Jis ki sada ho jalva-e-barq-e-fana mujhe
Mastana tai karun hun rah-e-vadi-e-khayal
Ta baz-gasht se na rahe muddaa mujhe
Karta hai bas-ki baagh mei tu be-hijabiyan
Aane lagi hai nikhat-e-gul se haya mujhe
Khulta kisi pe kyun mere dil ka moamla
Sheron ke intikhab ne rusva kiya mujhe
Wahan rang-ha ba-parda-e-tadbir hain hunuz
Yahan shola-e-charagh hai barg-e-hina mujhe
Parvaz-ha niyaz-e-tamasha-e-husn-e-dost
Bal-e-kushada hai nigah-e-ashna mujhe
Az-khud-guzashtagi mei khamoshi pe harf hai
Mauj-e-ghubar-e-surma hui hai sada mujhe
Ta chand past fitrati-e-tab-e-arzu
Ya rab mile bulandi-e-dast-e-dua mujhe
Maen ne junun se ki jo 'Asad' iltimas-e-rang
Khoon-e-jigar mei ek hi ghota diya mujhe
Hai ab-o-dana mausam-e-gul mei haram hai
Zunnar-e-va-gusista hai mauj-e-saba mujhe
Yakbar imtihan-e-havas bhi zarur hai
Ai josh-e-ishq bada-e-mard-azma mujhe

