Ghuncha-e-na-shagufta do dur se mat dikha ki yun
Bose ko puchhta hun maen se mujhe bata ki yun
Pursish-e-tarz-e-dilbari kijiye kya ki bin kahe
Us ke har ek ishare se nikle hai ye ada ki yun
Raat ke waqt maen piye saath raqib ko liye
Aae wo yahan khuda kare par na kare khuda ki yun
Ghaer se raat kya bani ye jo kaha to dekhiye
Samne aan baethna aur ye dekhna ki yun
Bazm mei us ke ru-ba-ru kyun na khamosh baethiye
Us ki to khamoshi mei bhi hai yahi mudda ki yun
Maen ne kahan ki bazm-e-naz chahiye ghaer se thi
Sun ke sitam-zarif ne mujh ko utha diya ki yun
Mujh se kaha jo yaar ne jaate hain hosh kis tarah
Dekh ke meri be-khudi chalne lagi hava ki yun
Kab mujhe ku-e-yar mei rahne ki vaza yaad thi
Aaina-dar ban gayi hairat-e-naqsh-e-pa ki yun
Gar tere dil mei ho khayal vasl mei shauq ka zaval
Mauj muhit-e-ab mei maare hai dast-o-pa ki yun
Jo ye kahe ki rekhta kyunke ho rashk-e-farsi
Gufta-e-'Ghalib' ek baar padh ke oose suna ki yun


No comments
Post a Comment