Saturday, 29 September 2018

GHAM NAHIN HOTA HAI AZADON KO BESH AZ-YAK-NAFAS


Gham nahin hota hai azadon ko besh az-yak-nafas
Barq se karte hain roshan sham-e-matam-khana ham

Mahfilen barham kare hai ganjifa-baz-e-khayal
Hain varaq-gardani-e-nairang-e-yak-but-khana ham

Bavajud-e-yak-jahan hamgama paidai nahin
Hain Charaghan-e-shabistan-e-dil-e-parvana ham

Zoaf se hai ne qanaat se ye tark-e-justuju
Hain vabal-e-takiya-gah-e-himmat-e-emardana ham

Daim-ul-habs us mei hain lakhon tamannae 'Asad'
Jaante hain sina-e-pur-khoon ko zindan-khana ham

Bas-ki hain bad-mast-e-ba-shikan ba-shikan-e-mai-khana ham
Mu-e-shisha ko samajhte hain khat-e-paimana ham

Bas-ki har-yak-mu-e-zulf-afshan se hain tar-e-shua
Panja-e-khurshid ko samjhe hain dast-e-shana ham

Mashq-e-az-khud-raftagi se hain ba-gulzar-e-khayal
Ashna tabir-e-khwab-e-sabza-e-begana ham

Fart-e-be-khwabi se hain shab-ha-e-hijr-e-yar mei
Jun zaban-e-shama dagh-e-garmi-e-afsana ham

Sham-e-gham mei soz-e-ishq-e-atish-e-rukhsar se
Par-fashan-e-sokhtan hain surat-e-parvana ham

Hasrat-e-arz-e-tamanna yahan se samjha chahiye
Do-jahan hashr-e-zaban-e-khushk hain jun shana ham

Kashti-e-alam ba-tufan-e-taghaful de ki hain
Alam-e-ab-e-gudaz-e-jauhar-e-afsana ham

Vahshat-e-be-rabti-e-pech-o-kham-e-hasti na puchh
Nang-e-balidan hain jun mu-e-sar-e-deewana ham

No comments

Post a Comment

Shayars 4 World. All rights reserved. © Maira Gall.