Friday, 28 September 2018

BAD-DILI MEI BE-QARARI KO QARAR AAYA TO KYA


Bad-dili mei be-qarari ko qarar aaya to kya
Pa-piyada ho ke koi shahsavar aaya to kya

Zindagi ki dhoop mei murjha gaya mera shabab
Ab bahar aai to kya abr-e-bahar aaya to kya

Mere tevar bujh gaye meri nigahen jal gayi
Ab koi aaina-ru aaina-dar aaya to kya

Ab ki jab janana tum ko hai sabhi par eitbaar
Ab tumhen janana pe jab eitbaar aaya to kya

Ab mujhe khud apni bahon par nahin hai ikhtiyaar
Haath phailae koi be-ikhtiyaar aaya to kya

Wo to ab bhi khwaab hai bedar binaai ka khwaab
Zindagi mei khwaab mei us ke guzar aaya to kya

Ham yahan hai be-gunah so ham mei se 'Jaun-Elia'
Koi jeet aaya yahan aur koi haar aaya to kya
Shayars 4 World. All rights reserved. © Maira Gall.