Saturday, 29 September 2018

GHAM-E-DUNIYA SE GAR PAAI BHI FURSAT SAR UTHANE KI


Gham-e-duniya se gar paai bhi fursat sar uthane ki
Falak ka dekhna taqrib tere yaad aane ki

Khulega kis tarah mazmum mere maktub ka ya-rab
Qasam khaai hai us kafir ne kaghaz ke jalane ki

Lipatna parniyan mei shola-e-atish ka pinhan hai
Vale mushkil hai hikmat dil mei soz-e-gham chhupane ki

Unhen manzur apne zakhmiyon ka dekh aana tha
Uthe the sair-e-gul ko dekhna shokhi bahane ki

Hamari sadgi thi iltifat-e-naz par marna
Tera aana na tha zalim magar tamhid jaane ki

Lakad kub-e-havadis ka tahammul kar nahin sakti
Meri taqat ki zamin thi buton ki naaz uthane ki

Kahun kya khubi-e-auza-e-abna-e-zaman 'Ghalib'
Badi ki us ne jis se ham ne ki thi bar-ha neki

No comments

Post a Comment

Shayars 4 World. All rights reserved. © Maira Gall.