Gham khane mei buuda dil-e-nakam bohot hai
Ye ranj ki kam hai mai-e-gulfaam bohot hai
Kahte huwe saaqi se haya aati hai warna
Hai yun ki mujhe dard-e-tah-e-jam bohot hai
Ne teer kamen mei hai na sayyad kamin mei
Goshe mei qafas ke mujhe aram bohot hai
Kya zohd ko mamun ki na ho garche riyaai
Padash-e-amal ki tama-e-kham bohot hai
Hain ahl-e-khirad kis ravish-e-khas pe nazan
Pabastagi-e-rasm-o-rah-e-am bohot hai
Zamzam hi pe chhode mujhe ya tauf-e-haram se
Aluda-ba-mai jama-e-ehram bohot hai
Hai qahr gar ab bhi na bane baat ki un ko
Inkaar nahin aur mujhe ibram bohot hai
Khoon ho ke jigar aankh se tapka nahin aai marg
Rahne de mujhe yahan ki abhi kaam bohot hai
Hoga koi aisa bhi ki 'Ghalib' ko na jaane
Shaer to wo achchha hai pa badnam bohot hai

