Dil mei ab yun tere bhule huwe gham aate hain
Jaese bichhde huwe kaabe mei sanam aate hain
Ek ek kar ke huwe jaate hain taare roshan
Meri manzil ki taraf tere qadam aate hain
Raqs-e-mai tez karo saaz ki lai tez karo
Su-e-mai -khana safiran-e-haram aate hain
Kuchh hamin ko nahin ehsaan uthane ka dimaagh
Wo to jab aate hain ma.il-ba-karam aate hain
Aur kuchh der na guzre shab-e-furqat se kaho
Dil bhi kam dukhta hai wo yaad bhi kam aate hain

