Ghaer len mahfil mei bose jaan ke
Ham rahen yun tishna-lab paigham ke
Khastagi ka tum se kya khikva ki ye
Hathkande hain charkh-e-nili-fam ke
Khat likhenge garche matlab kuchh na ho
Ham to ashiq hain tumhare naam ke
Raat pi zamzam pe mae aur subh-dam
Dhoe dhabbe jama-e-ehram ke
Dil ko ankhon ne phansaya kya magar
Ye bhi halqe hain tumhare daam ke
Shaan ke hai ghusl-e-sehhat ki khabar
Dekhiye kab din phiren hammam ke
Ishq ne 'Ghalib' nikamma kar diya
Warna ham bhi aadmi the kaam ke

