Ghafil ba-vahm-e-naz khud-ara hai warna yahan
Be-shana-e-saba nahin turra gayah ka
Bazm-e-qadah se aish-e-tamanna na rakh ki rang
Saed-e-ze-dam-e-jasta hai us dam-gah ka
Rahmat agar qubut kare kya baaid hai
Sharmindagi se uzr na karna gunah ka
Maqtal ko kis nashat se jaata hun maen ki hai
Pur-gul khayal-e-zakhm se daman nigah ka
Jaan dar-hava-e-yak-nigah-e-garm hai 'Asad'
Parvana hai vakil tere dad-khvah ka
Uzlat-guzin-e-bazm hain vamandagan-e-did
mina-e-mae hai aabla pa-e-nigah ka
Har gaam aable se hai dil dar-tah-e-qadam
Kya biim ahl-e-dard ko sakhti-e-rah ka
Taus-e-dar-rikab hai har zarra aah ka
Ya-rab nafas ghubar hai kis jalva-gah ka
Jeb-e-niyaz-e-ishq nishan-dar-e-naz hai
Aaina hun shikastan-e-tarf-e-kulah ka

