Garm-e-fariyad rakha shakl-e-nihali ne mujhe
Tab amaan hijr mei di bard-e-layali ne mujhe
Nisyah-o-naqd-e-do-alam ki haqikat malum
Le liya mujh se meri himmat-e-ali ne mujhe
Kasrat-earaai-e-vahdat hai parastari-e-vahm
Kar diya kafir in asnam-e-khayali ne mujhe
Havas-e-gul ke tasavvur mei bhi khatka na raha
Ajab aram diya be-par-o-bali ne mujhe
Zindagi mei bhi raha zauq-e-fana ka maara
Nashsha bakhsha ghazab us saghar-e-khali ne mujhe
Bas-ki thi fasl-e-khizan-e-chamanistan-e-sukhan
Rang-e-shohrat na diya taza-khayali ne mujhe
Jalva-e-khur se fana hoti hai shabnam 'Ghalib'
Kho diya satvat-e-asma-e-jalali ne mujhe

