Dhamki mei mar gaya jo na.bab-e-nabard tha
Ishq-e-nabard-pesha talabgar-e-mard tha
Tha zindagi mei marg ka khatka laga huwa
Udne se pesh-tar bhi mera rang zard tha
Talif nuskha-ha-e-wafa kar raha tha maen
Majmua-e-khayal abhi fard fard tha
Dil ta jigar ki sahi-e-dariya-e-khoon hai ab
Is rahguzar mei jalva-e-gul aage gard tha
Jaati hai koi kashmakash andoh-e-ishq ki
Dil bhi agar gaya to wahi dil ka dard tha
Ahbab charasazi-e-vahshat na kar sake
Zindan mei bhi khayal bayaban-navard tha
Ye lash-e-be-kafan 'Asad'-e-khasta-jan ki hai
Haq maghfirat kare ajab azad mard tha

