Ek ja harf-e-wafa likkha tha so bhi mit gaya
Zahiran kaghaz tere khat ka ghalat-bar-dar hai
Ji jale zauq-e-fana ki na-tamami par na kyun
Ham nahin jalte nafas har chand atish-bar hai
Aag se paani mei bujhte waqt uthti hai sada
Har koi darmandagi mei naale se na-char hai
Hai wahi bad-masti-e-har zarra ka khud uzr-khvah
Jis ke jalve se zamin ta asman sarshar hai
Mujh se mat kah tu hamen kahta tha apni zindagi
Zindagi se bhi mera ji in dinon be-zar hai
Aankh ki tasweer sar-naame pe khinchi hai ki ta
Tujh pe khul jaave ki is ko hasrat-e-didar hai

