Gayi wo baat ki ho guftugu to kyukar ho
Kahe se kuchh na huwa phir kaho to kyukar ho
Hamare zehn mei is fikr ka hai naam visal
Ki gar na ho to kahan jaaen ho to kyukar ho
Adab hai aur yahi kashmakash to kya kije
Haya hai aur yahi gomago to kyunkar ho
Tumhin kaho is guzara sanam-paraston ka
Buton ki ho agar aesi hi khu to kyukar ho
Ulajhte ho tum agar dekhte ho aaina
Jo tum se shahr mei hon ek do to kyukar ho
Jise nasib ho roz-e-siyah mera sa
Wo shakhs din na kahe raat ko to kyukar ho
Hamen phir un se ummeed aur unhen hamari qadr
Hamari baat hi puchhen na wo to kyunkar ho
Ghalat na tha hamen khat par guman tasalli ka
Na maane dida-e-didaar jo to kyunkar ho
Batao us mizha ko dekh kar ki mujh ko qarar
Wo niish ho rag-e-jan mei faro to kyunkar ho
Mujhe junun nahn 'Ghalib' wale ba-qaul-e-huzur
Firaq-e-yar mei taskin ho to kyunkar ho

