Fariyad ki koi lai nahin hai
Naala paband-e-nai nahin hai
Kyun bote hain baghban tonbe
Gar baagh gada-e-mai nahin hai
Har-chand har ek shai mei tu hai
Par tujh si koi shai nahin hai
Haan khaiyo mat fareb-e-hasti
Har-chand kahen ki hai nahin hai
Shadi se guzar ki gham na hove
Urdi jo na ho to dai nahin hai
Kyun radd-e-qadah kare hai zahid
Mae hai ye magas ki qai nahin hai
Hasti hai na kuchh adam hai 'Ghalib'
Aakhir tu kya hia ai nahin hai

