Thursday, 27 September 2018

GAR KHAMOSHI SE FAIDA IKHFA-E-HAAL HAI


Gar khamoshi se faida ikhfa-e-haal hai
Khush hun ki meri baath samjhani muhal hai

Kis ko sunaun hasrat-e-izhar ka gila
Dil fard-e-jama-o-kharch zaban-ha-e-lal hai

Kis parde mei hai aaina-pardaz ai khuda
Rahmat ki uzr-khvah-e-lab-e-be-saval hai

Hai hai khuda-na-khvasta wo aur dushmani
Ai shauq-e-munfail ye tujhe kya khayal hai

Mushkin libas-e-kaba ali ke qadam se jaan
Naf-e-zamin hai na ki naf-e-ghazal hai

Vahshat pe meri arsa-e-afaq tang tha
Dariya zamin ko araq-e-infial hai

Hasti ke mat fareb mei aa jaiyo 'Asad'
Aalam tamam halqa-e-dam-e-khayal hai

Pahlu-tahi na kar gham-o-andoh se 'Asad'
Dil Vaqf-e-dard kar ki faqiron ka maal hai
Shayars 4 World. All rights reserved. © Maira Gall.