Friday, 28 September 2018

GARMI-E-SHAUQ-E-NAZAR KA ASAR TO DEKHO


Garmi-e-shauq-e-nazar ka asar to dekho
Gul khile jaate hain wo saya-e-tar to dekho

Aise nadan bhi na the jaan se guzarne waale
Naseho pand-garo rahguzar to dekho

Wo to wo hai tumhen ho jaegi ulfat mujh se
Ek nazar tum mere mahbub-e-nazar to dekho

Wo jo ab chaak gareban bhi nahin karte hain
Dekhne waalo kabhi un ka jigar to dekho

Daman-e-dard ko gulzar bana rakkha hai
Aao ik din dil-e-pur-khoon ka hunar to dekho

Subh ki tarah jhamakta hai shab-e-gham ka ufuq
'Faiz' tabindagi-e-dida-e-tar to dekho
Shayars 4 World. All rights reserved. © Maira Gall.