Friday, 28 September 2018

FIKR-E-DILDARI-E-GULZAR KARUN YA NA KARUN


Fikr-e-dildari-e-gulzar karun ya na karun
Zikr-e-murghan-e-giraftar karun ya na karun

Qissa-e-sazish-e-aghyar kahun ya na kahun
Shikva-e-yaar-e-tarah-dar karun ya na karun

Jaane kis rang mei tafsir karen ahl-e-havas
Madh-e-zulf-o-lab-o-rukhsar karun ya na karun

Yun bahar aai hai imsal ki gulshan mei saba
Puchhti hai guzar is baar karun ya na karun

Goya is soch mei hai dil mei lahu bhar ke gulab
Daman o jeb ko gulnar karun ya na karun

Hai faqat murgh-e-ghazal ki jise fikr nahin
Moatadil garmi-e-guftar karun ya na karun
Shayars 4 World. All rights reserved. © Maira Gall.