Thursday, 27 September 2018

GAR NA ANDOH-E-SHAB-E-FURQAT BAYAN HO JAEGA


Gar na andoh-e-shab-e-furqat bayan ho jaega
Be-takalluf dagh-e-mah mohr-e-dahan ho jaega

Zohra gar aisa hi sham-e-hijr mei hota hai aab
Partav-e-mahtab sail-e-khanuman ho jaega

Le to lun sote mei us ke paanv ka bosa magar
Aisi baton se wo kafir bad-guman ho jaega

Dil ko ham sarf-e-vafa samjhe the kya maalum tha
Yaani ye pahle hi nazr-e-imtihan ho jaega

Sab ke dil mei hai jagah teri jo tu raazi hua
Mujh pe goya ek zaman mehrbaan ho jaega

Gar nigah-e-garm farmati rahi talim-e-zabt
Shoala khas mei jaese khoon rag mei nihan ho jaega

Baagh mei mujh k ona le ja warna mere haal par
har gul-e-tar ek chashm-e-khoon-fishan ho jaega

Vaae gar mera tera insaaf mahshar mei na ho
Ab talak to ye tavaqqo.a hai ki vaan ho jaega

Faeda kya soch akhir tu bhi daana hai 'Asad'
Dosti nadan ki hai ji ka ziyaan ho jaega
Shayars 4 World. All rights reserved. © Maira Gall.