Thursday, 27 September 2018

EK EK QATRA KA MUJHE DENA PADA HISAB


Ek ek qatra ka mujhe dena pada hisab
Khoon-e-jigar wadiat-e-mizhgan-e-yar tha

Ab maen hun aur matam-e-tak-shahr-aarzu
Toda jo tu ne aaina timsal-dar tha

Galiyon mei meri naash ko khinche phiro ki maen
jaan-dada-e-hava-e-sar-e-rahguzar tha

Mauj-e-sharaab-e-dasht-e-wafa ka na puchh haal
Har zarra misl-e-jauhar-e-tegh ab-dar tha

kam jante the ham bhi gham-e-ishq ko par ab
Dekha to kam huwe pa gham-e-rozgar tha

Kis ka junun-e-dil tamanna-shikar tha
Aaina-khana wahi-e-jauhar-ghubar tha

Kis ka khayal aaina-e-intezaar tha
Har barg-e-gul ke parde mei dil be-qaraar tha

Junun ghuncha-o-gul afat-e-fal-e-nazar na puchh
Paikan se tere jalva-e-zakhm ashkar tha

Dekhi wafa-e-fursat-e-ranj-e-nashaat-e-dahr
Khamyaza yak-darazi-e-umr-e-khumaar tha

Subh-e-qayamat ek dum-e-gurg thi 'Asad'
Jis dasht mei wo shokh-e-do-alam shikar tha
Shayars 4 World. All rights reserved. © Maira Gall.