Thursday, 27 September 2018

DOST GHAM-KHVARI MEI MERI SAII FARMAVENGE KYA


Dost gham-khvari mei meri saii farmavenge kya
Zakhm ke bharte talak nakhun na badh javenge kya

Be-niyazi had se guzri banda-parvar kab talak
Ham kahenge hal-e-dil aur aap farmavenge kya

Hazrat-e-naseh gar aaven deeda o dil farsh-e-rah
Koi mujh ko ye to samjha do ki samjhavenge kya

Aaj wahan tegh o kafan baandhe huwe jaata hun maen
Uzr mere qatl karne mei wo ab lavenge kya

Gar kiya naseh ne ham ko qaid achchha yun sahi
Ye junun-e-ishq ke andaz chhut javenge kya

Khana-zad-e-zulf hain zanjir se bhagenge kyunn
Hain giraftaar-e-wafa zindan se ghabravenge kya

Hai ab is mamure mei qaht-e-gham-e-ulfat 'Asad'
ham ne ye maana ki dilli mei rahen khavenge kya
Shayars 4 World. All rights reserved. © Maira Gall.