Donon jahan de ke wo samjhe ye khush raha
Yahan aa padi ye sharm ki takrar kya karen
Thak thak ke har maqam pe do chaar rah gaye
Tera pata na paaen to na-chaar kya karen
Kya shama ke nahin hain hava-khvah bazm mei
Ho gham hi jan-gudaz to gham-khvar kya karen