Diya hai dil agar us ko bashar hai kya kahiye
Huwa raqib to ho nama-bar hai kya kahiye
Ye zid ki aaj na aave aur aae bin na rahe
Qaza se shikva hamen kis qadar hai kya kahiye
Rahe hai yun gah-o-be-gah ki ku-e-dost ko ab
Agar na kahiye ki dushman ka ghar hai kya kahiye
Zahe karishma ki yun de rakkha hai ham ko fareb
Ki bin kahe hain unhen sab khabar hai kya kahiye
Samajh ke karte hain bazaar mei wo purshish-e-hal
Ki ye kahe ki sar-e-rahguzar hai kya kahiye
Tumhe nahin hai sar-e-rishta-e-wafa ka khayal
Hamare haath mei kuch hai magar hai kya kahiye
Unhe sawal pe zom-e-junun hai kyun ladiye
Hamen jawab se qat-e-nazar hai kya kahiye
Hasad saza-e-kamal-e-sukun hai kya kijiye
Sitam baha-e-mata-e-hunar hai kya kahiye
Kaha hai kis ne ki 'Ghalib' bura nahin lekin
Sivae is ke ki ashufta-sar hai kya kahiye

