Deewangi se dosh pe zunnar bhi nahin
Yaani hamare jaib mei ek taar bhi nahin
Dil ko niyaz-e-hasrat-e-didaar kar chuke
Dekha to ham mei taqat-e-didaar bhi nahin
Milna tera agar nahin asaan to sahl hai
Dushvaar to yahi hai ki dushvaar bhi nahin
Be-ishq umr kat nahin sakti hai aur yahan
Taqat ba-qadr-e-lazzat-e-azar bhi nahin
Shoridgi ke haath se hai sar vabal-e-dosh
Sahra mei ai khuda koi deewar bhi nahin
Guzarish-e-adavat-e-aghyar yak taraf
Yahan dil mei zoaf se havas-e-yaar bhi nahin
Dar nala-ha-e-zar se mere khuda ko maan
Aakhir nava-e-murgh-e-giraftar bhi nahin
Dil mei hai yaar ki saf-e-mizhgan se ru-kashi
Halanki taqat-e-khalish-e-khar bhi nahin
Is saadgi pe kaun na mar jaae ae khuda
Ladte hain aur haath mei talvaar bhi nahin
Dekha 'Asad' ko khalvat-o-jalvat mei ba-ha
Deewana gar nahin hai to hushyaar bhi nahin

