Dil se teri nigah jigar tak utar gayi
Donon ko ek ada mei raza-mand kar gayi
Shaq ho gaya hai seena khusha lazzat-e-faragh
Taklif-e-parda-dari-e-zakhm-e-jigar gayi
Wo bada-e-shabana ki sarmastiyan kahan
Uthiye bas ab ki lazzat-e-khwab-e-shar gayi
udti phire hai khaak meri ku-e-yar mei
Baare ab ai hawa havas-e-bal-o-par gayi
Dekho to dil-farebi-e-andaz-e-naqsh-e-pa
Mauj-e-khiram-e-yar bhi kya gul katar gayi
Har bul-havas ne husn-parasti shi.aar ki
Ab abru-e-sheva-e-ahl-e-naza gayi
Nazzare ne bhi kaam kiya vaan naqab ka
Masti se har nigah tere rukh par bikhar gayi
Farda o di ka tafraqa yak baar mit gaya
kal tum gae ki ham pe qayamat guzar gayi
Maara zamane ne Asadullah Khan tumhe
Wo valvale kahan wo javani kidhar gayi

