Dil-e-nadaan tujhe huwa kya hai
Aakhir is dard ki dava kya hai
Ham hain mushtaq aur wo be-zar
Ya ilahi ye maajra kya hai
Mae bhi muh mei zaban rakhta hun
Kaash puchho ki mudda kya hai
Jab ki tujh bin nahin koi maujud
Phir ye hangama ai khuda kya hai
Ye pari-chehra log kaise hain
Ghamza o ishva o ada kya hai
Shikan-e-zulf-e-ambarin kyun hai
Nigah-e-chashm-e-surma sa kya hai
Sabza o gul kahan se aae hain
Abr kya chiz hai hava kya hai
Ham ko un se wafa ki hai ummeed
Jo nahin jaante wafa kya hai
Haan bhala kar tera bhala hoga
Aur darvesh ki sada kya hai
Jaan tum par nisaar karta hun
Mae nahin jaanta dua kya hai
Maene maana ki kuchh nahin 'Ghalib'
Muft haath aae to bura kya hai

