Chahiye achchon ko jitna chahiye
Ye agar chahen to phir kya chahiye
Sohbat-e-rindan se wahib hai hazar
Ja-e-mae apne ko khincha chahiye
Chahne ko tere kya samjha tha dil
Baare ab is se bhi samjha chahiye
Chaak mat kar jaib be-aayam-e-gul
Kuch udhar ka bhi ishara chahiye
Dosti ka parda hai beganagi
Muh chhupana ham se chhoda chahiye
Dushmani ne meri khoya ghair ko
Kis qadar dushman hai dekha chahiye
Apni rusvai mei kya chalti hai saii
Yaar hi hangama-ara chahiye
Munhasir marne pe ho jis ki ummeed
Na-umeedi us ki dekha chahiye
Ghafil in mah-talaton ke waste
Chahne waala bhi achcha chahiye
Chahte hain khub-ruyon ko 'Asad'
Aap ki surat to dekha chahiye

