Thursday, 27 September 2018

DIL HI TO HAI NA SANG-O-KHISHT DARD SE BHAR NA AAE KYUN


Dil hi to hai na sang-o-khisht dard se bhar na aae kyun
Roenge ham hazar baar koi hame sataae kyun

Daer nahin haram nahin dar nahin astan nahin
Baetha hun rahguzar pe ham ghair hamen uthae kyun

Jab wo jamal-e-dil-faroz surat-e-mehr-e-nim-roz
Aap hi ho nazzara-soz parde mei muh chhupae kyun

Dashna-e-ghamza jan-sitam navak-e-naz be-panah
Tera hi aks-e-rukh sahi samne tere aae kyun

Qaid-e-hayat o band-e-gham asl mei donon ek hain
Maut se pahle aadmi gham se najaat paae kyun

Husn aur us pe husn-e-zan rah gaii bul-havas ki sharm
Apne pe eitmaad hai ghair ko azmaae kyun

Wahan wo ghurur-e-izz-o-naz yahan ye hijab-e-pas-e-vazaa
Raah mei ham milen kahan bazm mei wo bulae kyun

'Ghalib'-e-khasta ke baghaer kaun se kaam band hain
Roiye zaar zaar kya kijiye haae haae kyun
Shayars 4 World. All rights reserved. © Maira Gall.