Thursday, 27 September 2018

DHOTA HUN JAB MAE PIINE KO US SIM-TAN KE PAANV


Dhota hun jab mae piine ko us sim-tan ke paanv
Rakhta hai zid se khinch ke bahar lagan ke paanv

Di sadgi se jaan padun kohkan ke paanv
Haihat kyun na tut gae pir-zan ke paanv

Bhage the ham bohot so oosi ki saza hai ye
Ho kar aseer dabte hain rahzan ke paanv

Marham ki justuju mei phira hun jo dur dur
Tan se siwa figar hain is khasta-tan ke paanv

Allah-re zauq-e-dasht-navardi ki baad-e-marg
Hilte hain khud-ba-khud mere andar kafan ke paanv

Hai josh-e-gul bahar mei yahan tak ki har taraf
udte huwe ulajhte hain murgh-e-chaman ke paanv

Shab ko kisi ke khwab mei aaya na ho kahin
Dukhte hain aaj us but-e-nazuk-badan ke paanv

'Ghalib' mere kalam mei kyunkar maza na ho
Peeta hun dhoke khusrav-e-shirin-sukhan ke paanv
Shayars 4 World. All rights reserved. © Maira Gall.