Dekh kar dar-parda garm-e-daman-afshani mujhe
kar gai wabasta-e-tan meri uryani mujhe
Ban gaya tegh-e-nigah-e-yar ka sang-e-fasan
Marhaba mei kya mubarak hai giran-jani mujhe
Kyun na ho be-iltifati us ki khatir jama hai
Likh diya min-jumla-e-asbab-e-virani mujhe
Mere gham-khane ki qismat jab raqam hone lagi
Likh diya min-jumla-e-asbab-e-virani mujhe
Bad-guman hota hai wo kafir na hota kaash ke
Is qadar zauq-e-nava-e-murgh-e-bustani mujhe
Vaae vaan bhi shor-e-mahshar ne na dam lene diya
Le gaya tha gor mei zauq-e-tan-asani mujhe
Vaada aane ka wafa keeje ye kya andaz hai
Tum ne kyun saunpi hai mere ghar ki darbari mujhe
Haan nashat-e-amad-e-fasl-e-bahari waah waah
Phir huwa hai taaza sauda-e-ghazal-khvani mujhe
Di mere bhai ko haq ne az-sar-e-nau zindagi
Mirza yusuf hai 'Ghalib' yusuf-e-sani mujhe

