Dar-khur-e-qahr-o-ghazab jab koi ham sa na huwa
Phir ghalat kya hai ki ham sa koi paida na huwa
Bandagi mei bhi wo azada o khud-bin hain ki ham
Ulte phir aae dar-e-kaba agar va na huwa
Sab ko maqbul hai daava teri taktai ka
Ru-ba-ru koi but-e-aaina-seema na huwa
Kam nahin nazish-e-hamnami-e-chashm-e-khuban
Tera bimaar bura kya hai gar achchha na huwa
Seene ka daagh hai wo naala ki lab tak na gaya
Khaak ka rizq hai wo qatra ki dariya na huwa
Naam ka mere hai jo dukh ki kisi ko na mila
Kaam mei mere hai jo fitna ki barpa na huwa
Qatra mei dajla dikhai na de aur juzv mei kul
Khel ladkon ka huwa dida-e-bina na huwa
Thi khabar garm ki 'Ghalib' ke udenge purze
Dekhne ham bhi gae the pa tamasha na huwa

