Tuesday, 25 September 2018

DARD SE MERE HAI TUJH KO BE-QARARI HAE HAE


Dard se mere hai tujh ko be-qarari hae hae
Kya hui zalim teri ghaflat-shiaari hae hae

Tere dil mei gar na tha ashob-e-gham ka hausla
Tu ne phir kyun ki thi meri gham-gusari hae hae

Kyun meri gham-khvargi ka tujh ko aay atha khayal
Dushmani apni thi meri dost-dari hae hae

Umr bhar ka tu ne paiman-e-wafa bandha to kya
Umr ko bhi to nahin hai paedari hae hae

Zahr lagti hai mujhe ab-o-hava-e-zindagi
Yaani tujh se thi ise na-sazgari hae hae

Gul-fishani-ha-e-naz-e-jalva ko kya ho gaya
Khaak par hoti hai teri lala-kari hae hae

Sharm-e-ruswai se ja chhupna naqab-e-khaak mei 
Khatm hai ulfat ki tujh par parda-dari hae hae

Khaak mei namus-e-paimana-e-mohabbat mil gayi
Uth gayi duniya se rah-o-rasm-e-yari hae hae

Haath hi tegh-azma ka kaam se jaata raha
Dil pe ek lagne na paaya zakhm-e-kari hae hae

Kis tarah kaate koi shab-ha-e-tar-e-barshigal
Hai nazar khu-karda-e-akhtar-shumari hae hae

Gosh mahjur-e-payam o chashm-e-mahrum-e-jamal
ek dil tis par ye na-ummeed-vari hae hae

Ishq ne pakda na tha 'Ghalib' abhi vahshat ka rang
Rah gaya tha dil mei jo kuch zauq-e-khvari hae hae
Shayars 4 World. All rights reserved. © Maira Gall.