Dard minnat-kash-e-dawa na huwa
Mae na achchha huwa bura na huwa
Jama karte ho kyun raqibon ko
Ik tamasha huwa gila na huwa
Ham kahan qismat azmaane jaaen
Tu hi jab khanjar-azma na huwa
Kitne shirin hain tere lab ki raqib
Galiyan kha ke be-maza na huwa
Hai khabar garm un ke aane ki
Aaj hi ghar mei boriya na huwa
Kya wo namrud ki khudai thi
Bandagi mei mera bhala na huwa
Jaan di di hui usi ki thi
Haq to un hai ki haq adaa na huwa
Zakhm gar dab gaya lahu na thama
Kaam gar ruk gaya rava na huwa
Rahzani hai ki dil-sitani hai
Le ke dil dil-sitan ravana huwa
Kuch to padhiye ki log khate hain
Aaj 'Ghalib' ghazal-sara na huwa

