Daaim pada huwa tere dar par nahin hun mae
Khaak aisi zindagi pe ki patthar nahin hun mae
Kyun gardish-e-mudam se ghabra na jae dil
Insaan hun piyala o saghar nahin hun mae
Ya-rab zamana mujh ko mitata hai kis liye
Lau-e-jahan pe harf-e-mukarrar nahin hun mae
Had chahiye saza mei uqubat ke waaste
Aakhir gunahgar hun Qafar nahin hun mae
Kis waater azeez nahin jaante mujhe
Laal o zamurrad o zar o gauhar nahin hun mae
Rakhte ho tum qadam meri aankhon se kyun daregh
Rutbe mei mahr-o-mah se kam-tar nahin hun mae
Karte ho mujh ko mana-e-qadam-bos kis liye
Kya asman ke bhi barabar nahin hun mae
'Ghalib' wazifa-khvar ho do shaah ko do
Wo din gae ki kahte the naukar nahin hun mae

