Dahr mei naqsh-e-wafa vajh-e-tasalli na huwa
Hai ye wo lafz ki sharminda-e-maani na huwa
Sabza-e-khat se tera kakul-e-sarkash na daba
Ye zamurrad bhi harif-e-dam-e-afii na huwa
Mae ne chaha tha ki andoh-e-wafa se chhutun
Wo sitamgar mere marne pe bhi raazi na huwa
Dil guzargah-e-khayal-e-mae-o-saghar hi sahi
Gar nafas jada-e-sar-manzil-e-taqvi na huwa
Hun tere vaada na karne mei bhi raazi ki kabhi
Gosh minnat-e-kash-e-gulbang-e-tasalli na huwa
Kis se mahrumi-e-qismat ki shikayat kije
Ham ne chaha tha ki mar jaaen so wo bhi na huwa
Na hui ham se raqam hairat-e-khatt-e-rukh-e-yaar
Safha-e-aaina jaulan-gah-e-tuti na huwa
Vusat-e-rahmat-e-haq dekh ki bakhsha jaave
Mujh sa Qafir ki jo mamnun-e-maasi na huwa

