Chashm-e-khuban khamoshi mei bhi nava-pardaz hai
Surma to kahve ki dud-e-shola-e-awaaz hai
Paikar-e-ushshaq saz-e-tala-e-na-saz hai
Naala goya dardish-e-saiyaara ki awaaz hai
Dast-gah-e-dida-e-khoon-bar-e-majun dekhna
Yak-bayaban jalwa-e-gul farsh-e-pa-andaz hai
Chashm-e-khuban mae-farosh-e-nashshah-zar-e-naz hai
Surma goya mauj-e-dud-e-shola-e-awaaz hai
Hai sareer-e-khama rezish-ha-e-istiqbaal-e-naaz
Naama khud paigham ko bal-e-par-e-parwaaz hai
Sar-navisht-e-iztiraab-anjami-e-ulfat na puchh
Nal-e-khama khar-khar-e-khatir-e-aghaaz hai
Shokhi-e-izhaar ghaer-az-vahshat-e-majnun nahin
Laila-e-mani 'Asad' mahmil-nashin-e-raz hai

