Bisat-e-ijz mei tha ek dil yak qatra khoon wo bhi
So rahta hai ba-andaz-e-chakidan sar-nigun wo bhi
Rahe us shokh se azurda ham chande takalluf se
Takalluf bartaraf tha ek andaz-e-junoon wo bhi
Khayal-e-marg kab taskin dil-e-azurda ko bakhshe
Mere dam-e-tamanna mei hai ek saed-e-zabun wo bhi
Na karta kaash naala mujh ko kya maalum tha hamdam
Ki hoga bais-e-afzaish-e-dard-e-darun wo bhi
Na itna burrish-e-tegh-e-jafa par naaz farmao
Mere dariya-e-be-tabi mei hai ek mauj-e-khoon wo bhi
Mae-e-ishrat ki khwahish saqi-e-gardan se kya keeje
Liye baetha hai ek do chaar jam-e-vazh-gun wo bhi
Mere dil mei hai 'Ghalib' shauq-e-vasl o shikva-e-hijran
Khuda wo din kare jo us se maen ye bhi kahun wo bhi
Mujhe maalum hai jo tu ne mere haq mei socha hai
kahin ho jae jald ai gardish-e-gardan-e-dun wo bhi
Nazar rahat pe meri kar na waada shab ke aane ka
Ki meri khwab-bandi ke liye hoga fusun wo bhi

