Bohot sahi gham-e-giti sharab kam kya hai
Ghulam-e-saqi-e-kausar hun mujh ko gham kya hai
Tumhari tarz-o-ravish jante hain ham kya hai
Raqib par hai agar lutf to sitam kya hai
Sukhan mei khama-e-Ghalib ki aatish-afshaani
Yaqin hai ham ko bhi lekin as us mei dam kya hai
Kate to shab kahen kaate to saanp kahalvaye
Koi batao ki wo zulf-e-kham-ba-kham kya hai
Likha kare koi ahkam-e-tala-e-maulud
Kise khabar hai ki wahan jumbish-e-qalam kya hai
Na hashr-e-nashr ka qaael na kesh o millat ka
Khuda ke waaste aise ki phir qasam kya hai
Wo dad-o-dil garan-maya shart hai hamdam
Warna mehr-e-sulaiman-e-jam-e-jam kya hai

